hairat ke daftar jaun
hairat ke daftar jā.ūñ
maiñ apne andar jā.ūñ
āñkheñ chaar karūñ sab se
ā.īne se Dar jā.ūñ
duniyā mil hī jā.egī
ziine chand utar jā.ūñ
aisā koī pal aa.e
saa.e se bāhar jā.ūñ
tujh ko sochūñ pal bhar maiñ
zanjīroñ se bhar jā.ūñ
jis raste haiñ ḳhaar babūl
us raste aksar jā.ūñ
dukh ke jangal se niklūñ
terī rāhguzar jā.ūñ
raat falak par ubhre to
maiñ tāroñ se bhar jā.ūñ
koī pal ko akelā chhoḌ
koī kaam to kar jā.ūñ
hairat ke daftar jaun
main apne andar jaun
aankhen chaar karun sab se
aaine se Dar jaun
duniya mil hi jaegi
zine chand utar jaun
aisa koi pal aae
sae se bahar jaun
tujh ko sochun pal bhar main
zanjiron se bhar jaun
jis raste hain KHar babul
us raste aksar jaun
dukh ke jangal se niklun
teri rahguzar jaun
raat falak par ubhre to
main taron se bhar jaun
koi pal ko akela chhoD
koi kaam to kar jaun
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 73)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.