hairat ko muzhda garm hai bazar-e-aina
hairat ko muzhda garm hai bāzār-e-ā.īna
ḳhūbān-e-ḳhud-numā haiñ ḳharīdār-e-ā.īna
haañ 'āshiqoñ ko kashmakash-e-jaur se farāġh
vo hai asīr-e-shāna giraftār-e-ā.īna
mujh ko bhī yuuñ hai zānūñ-e-hasrat se vāsta
'tuu' jaise har ghaḌī hai nigah-dār-e-ā.īna
dallāl chashm-e-shoḳh hai qīmat nazāra hai
aur husn be-hijāb ḳharīdār-e-ā.īna
nākām tirī diid se haiñ ḳhvāb meñ bhī ham
laa.eñ kahāñ se tāle.a-e-be-dār-e-ā.īna
husn-e-amal kī daad sikandar ko mil ga.ī
vo rashk-e-āina hai talabgār ā.īna
hairat ko muzhda garm hai bazar-e-aina
KHuban-e-KHud-numa hain KHaridar-e-aina
han 'ashiqon ko kashmakash-e-jaur se faragh
wo hai asir-e-shana giraftar-e-aina
mujh ko bhi yun hai zanun-e-hasrat se wasta
'tu' jaise har ghaDi hai nigah-dar-e-aina
dallal chashm-e-shoKH hai qimat nazara hai
aur husn be-hijab KHaridar-e-aina
nakaam teri did se hain KHwab mein bhi hum
laen kahan se talea-e-be-dar-e-aina
husn-e-amal ki dad sikandar ko mil gai
wo rashk-e-aina hai talabgar aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.