hairat-maab hun ki ye kya dekhta hun main
hairat-ma.āb huuñ ki ye kyā dekhtā huuñ maiñ
ai sāhib-e-jamāl tirā aa.ina huuñ meñ
rang-e-tilism-e-ālam-e-tasvīr hai hayāt
aur is nigār-ḳhāne meñ gum ho chukā huuñ maiñ
āñkhoñ meñ ik charāġh-e-tamannā liye hue
tārīkiyoñ ke shahr meñ kyā DhūñDhtā huuñ maiñ
ātish-mizāj thā vo so ab ḳhaak ho chukā
maiñ ḳhāksār thā so numū pā rahā huuñ maiñ
fikr-e-rasā meñ umr mirī sarf ho ga.ī
ab sochne lagā huuñ bahut sochtā huuñ maiñ
hairat-maab hun ki ye kya dekhta hun main
ai sahib-e-jamal tera aaina hun mein
rang-e-tilism-e-alam-e-taswir hai hayat
aur is nigar-KHane mein gum ho chuka hun main
aankhon mein ek charagh-e-tamanna liye hue
tarikiyon ke shahr mein kya DhunDhta hun main
aatish-mizaj tha wo so ab KHak ho chuka
main KHaksar tha so numu pa raha hun main
fikr-e-rasa mein umr meri sarf ho gai
ab sochne laga hun bahut sochta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.