hairat mein bhi baqi hai mujhe hosh-e-mohabbat
hairat mein bhi baqi hai mujhe hosh-e-mohabbat
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
hairat meñ bhī baaqī hai mujhe hosh-e-mohabbat
āñkheñ dam-e-dīdār haiñ mai-nosh-e-mohabbat
phir jaatī haiñ mahfil meñ agar aur ko dekhūñ
us shoḳh kī āñkheñ haiñ ḳhatā-posh-e-mohabbat
iqrār kiyā thā ki taġhāful na kareñge
kuchh yaad hai o va.ada-farāmosh-e-mohabbat
āshiq ko ye rāhat kabhī pahle na milī thī
marqad ko bajā kahte haiñ āġhosh-e-mohabbat
hañsne hī se tum gul chaman-e-husn ke Thahre
maiñ chup huuñ to huuñ bulbul-e-ḳhāmosh-e-mohabbat
jo baat na thī kahne kī mansūr ne kah dī
yuuñ ḳhāna-bar-andāz huā josh-e-mohabbat
sunñe ko tire tarse hai paiġhām zabānī
merā dil-e-sad-raḳhna banā gosh-e-mohabbat
ā.īna-e-hairat meñ hai masrūf-e-tamāshā
mahrūm nahīñ bole se mad.hosh-e-mohabbat
nazzāre kā hai lutf vo aa.e sar-e-bālīñ
hai talḳhī-e-murdan samar-e-nosh-e-mohabbat
ye sar se chalā.e to chalūñ tā-dam-e-āḳhir
munqād-e-mohabbat huuñ razā-kosh-e-mohabbat
baḌhtā hī gayā us ke ta'alluq ke barābar
hai rashk-e-adū ham-sar-o-ham-dosh-e-mohabbat
jo chāho 'zakī' ko kaho alqāb bahut haiñ
dīvāna-o-sar-gashta-o-behosh-e-mohabbat
hairat mein bhi baqi hai mujhe hosh-e-mohabbat
aankhen dam-e-didar hain mai-nosh-e-mohabbat
phir jati hain mahfil mein agar aur ko dekhun
us shoKH ki aankhen hain KHata-posh-e-mohabbat
iqrar kiya tha ki taghaful na karenge
kuchh yaad hai o wada-faramosh-e-mohabbat
aashiq ko ye rahat kabhi pahle na mili thi
marqad ko baja kahte hain aaghosh-e-mohabbat
hansne hi se tum gul chaman-e-husn ke Thahre
main chup hun to hun bulbul-e-KHamosh-e-mohabbat
jo baat na thi kahne ki mansur ne kah di
yun KHana-bar-andaz hua josh-e-mohabbat
sunne ko tere tarse hai paigham zabani
mera dil-e-sad-raKHna bana gosh-e-mohabbat
aaina-e-hairat mein hai masruf-e-tamasha
mahrum nahin bole se madhosh-e-mohabbat
nazzare ka hai lutf wo aae sar-e-baalin
hai talKHi-e-murdan samar-e-nosh-e-mohabbat
ye sar se chalae to chalun ta-dam-e-aKHir
munqad-e-mohabbat hun raza-kosh-e-mohabbat
baDhta hi gaya us ke ta'alluq ke barabar
hai rashk-e-adu ham-sar-o-ham-dosh-e-mohabbat
jo chaho 'zaki' ko kaho alqab bahut hain
diwana-o-sar-gashta-o-behosh-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.