hairat se apna chehra wo dekha kiya gaya
hairat se apnā chehra vo dekhā kiyā gayā
bikhrā huā jo dil mirā yakjā kiyā gayā
ik aks ko davām dilāyā gayā hai aaj
koī to kaam aañkh se achchhā kiyā gayā
har shaḳhs dekhtā jise apnī nazar se hai
kyoñ dard saare shahr pe ifshā kiyā gayā
yak-laḳht vāhime kī chubhan aur baḌh ga.ī
jab justujū ko tan kā labāda kiyā gayā
ye dil taġhayyurāt kā maarā Dasā ye dil
gulshan kiyā gayā kabhī sahrā kiyā gayā
dil ko hamāre vo hī 'duā' toḌtā gayā
jis shaḳhs par bhī dil se bharosā kiyā gayā
hairat se apna chehra wo dekha kiya gaya
bikhra hua jo dil mera yakja kiya gaya
ek aks ko dawam dilaya gaya hai aaj
koi to kaam aankh se achchha kiya gaya
har shaKHs dekhta jise apni nazar se hai
kyon dard sare shahr pe ifsha kiya gaya
yak-laKHt wahime ki chubhan aur baDh gai
jab justuju ko tan ka labaada kiya gaya
ye dil taghayyuraat ka mara Dasa ye dil
gulshan kiya gaya kabhi sahra kiya gaya
dil ko hamare wo hi 'dua' toDta gaya
jis shaKHs par bhi dil se bharosa kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.