hairat se dekhta hai mera naqsh-e-pa mujhe
hairat se dekhtā hai mirā naqsh-e-pā mujhe
yārān-e-tez-gām ye kyā ho gayā mujhe
ḳhud mere dil meñ shauq-e-safar hī nahīñ rahā
ab laakh bhejeñ manzileñ apnā patā mujhe
samjhā thā bas hayāt ko ḳhvāboñ kī jalva-gāh
ik dil kā daaġh kar gayā ḳhud-āshnā mujhe
paalā hai apnī god meñ tūfān ne tujhe
ai mauj us kī koī jhalak tū dikhā mujhe
ye kaun sī ḳhalish nikal aa.ī na.ī na.ī
lagtā hai aaj dard-e-jigar kuchh sivā mujhe
'az.har' mire harīf the kuchh ġham-zada magar
the yaar ḳhush ki dekh liyā Dūbtā mujhe
hairat se dekhta hai mera naqsh-e-pa mujhe
yaran-e-tez-gam ye kya ho gaya mujhe
KHud mere dil mein shauq-e-safar hi nahin raha
ab lakh bhejen manzilen apna pata mujhe
samjha tha bas hayat ko KHwabon ki jalwa-gah
ek dil ka dagh kar gaya KHud-ashna mujhe
pala hai apni god mein tufan ne tujhe
ai mauj us ki koi jhalak tu dikha mujhe
ye kaun si KHalish nikal aai nai nai
lagta hai aaj dard-e-jigar kuchh siwa mujhe
'azhar' mere harif the kuchh gham-zada magar
the yar KHush ki dekh liya Dubta mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.