hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan
hairat se dekhtī hai darīchoñ kī saf yahāñ
bante haiñ jān-būjh ke saa.e hadaf yahāñ
kin kin kī ātmā.eñ pahāḌoñ meñ qaid haiñ
āvāz do to bajte haiñ patthar ke daf yahāñ
chhantī hai jañgaloñ meñ daraḳhtoñ se raushnī
dhabbe haiñ kaise dhuup ke chāroñ taraf yahāñ
uTh uTh ke āsmāñ ko batātī hai dhuul kyuuñ
miTTī meñ dafn ho ga.e kitne sadaf yahāñ
ġhussa thā jaane kaun sī sadiyoñ kā un ke paas
āñkhoñ se ab bhī bahtā hai ḳhvāboñ kā kaf yahāñ
hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan
bante hain jaan-bujh ke sae hadaf yahan
kin kin ki aatmaen pahaDon mein qaid hain
aawaz do to bajte hain patthar ke daf yahan
chhanti hai jangalon mein daraKHton se raushni
dhabbe hain kaise dhup ke chaaron taraf yahan
uTh uTh ke aasman ko batati hai dhul kyun
miTTi mein dafn ho gae kitne sadaf yahan
ghussa tha jaane kaun si sadiyon ka un ke pas
aankhon se ab bhi bahta hai KHwabon ka kaf yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.