haiwan ki manzil mein bashar hai ki nahin hai
haivān kī manzil meñ bashar hai ki nahīñ hai
insān ko insān kā Dar hai ki nahīñ hai
me.ār-e-tajallī se to vāqif haiñ nigāheñ
jalvoñ ko bhī andāz-e-nazar hai ki nahīñ hai
farzāna-e-daurāñ bhī hai is baat pe ḳhāmosh
dīvāna sar-e-rāhguzar hai ki nahīñ hai
jis azm se manzil pe pahuñchte haiñ musāfir
vo azm ba-īñ zauq-e-safar hai ki nahīñ hai
be-sāḳhta manzil kī taraf bhāgne vaalo
raftār-e-zamāna kī ḳhabar hai ki nahīñ hai
rañgīnī-e-āġhāz-e-bahārāñ ke asīro
anjām-e-bahārāñ pe nazar hai ki nahīñ hai
nā-qadrī-e-afkār ke is daur-e-falak meñ
maa.il ba-qalam dast-e-hunar hai ki nahīñ hai
arbāb-e-mohabbat pe jo Dhaa.ī hai qayāmat
us shām-e-shab-e-ġham kī sahar hai ki nahīñ hai
jis dar se nasīm-e-saharī ghar meñ ho dāḳhil
kāshāna-e-imkāñ meñ vo dar hai ki nahīñ hai
bātil kā galā kaaT de jo haq kī madad se
ḳhūn-e-rag-e-jāñ meñ vo asar hai ki nahīñ hai
jis daaġh kī tārīf hai dāġh-e-ġham-e-jānāñ
vo daaġh ba-me.ār-e-jigar hai ki nahīñ hai
vo zaḳhm-e-tamannā jo muqaddar hai 'sabā' kā
us zaḳhm pe hikmat kī nazar hai ki nahīñ hai
haiwan ki manzil mein bashar hai ki nahin hai
insan ko insan ka Dar hai ki nahin hai
mear-e-tajalli se to waqif hain nigahen
jalwon ko bhi andaz-e-nazar hai ki nahin hai
farzana-e-dauran bhi hai is baat pe KHamosh
diwana sar-e-rahguzar hai ki nahin hai
jis azm se manzil pe pahunchte hain musafir
wo azm ba-in zauq-e-safar hai ki nahin hai
be-saKHta manzil ki taraf bhagne walo
raftar-e-zamana ki KHabar hai ki nahin hai
rangini-e-aghaz-e-bahaaran ke asiro
anjam-e-bahaaran pe nazar hai ki nahin hai
na-qadri-e-afkar ke is daur-e-falak mein
mail ba-qalam dast-e-hunar hai ki nahin hai
arbab-e-mohabbat pe jo Dhai hai qayamat
us sham-e-shab-e-gham ki sahar hai ki nahin hai
jis dar se nasim-e-sahari ghar mein ho daKHil
kashana-e-imkan mein wo dar hai ki nahin hai
baatil ka gala kaT de jo haq ki madad se
KHun-e-rag-e-jaan mein wo asar hai ki nahin hai
jis dagh ki tarif hai dagh-e-gham-e-jaanan
wo dagh ba-mear-e-jigar hai ki nahin hai
wo zaKHm-e-tamanna jo muqaddar hai 'saba' ka
us zaKHm pe hikmat ki nazar hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.