haiwaniyat ka zahr dilon mein utar gaya
haivāniyat kā zahr diloñ meñ utar gayā
bastī se apnī kaun sā mausam guzar gayā
ūñche makān vaale jo the saaf bach ga.e
ilzām-e-qatl saarā ġharīboñ ke sar gayā
dīdār ho rahā thā mujhe un kā ḳhvāb meñ
āñkheñ khulīñ to ḳhushnumā manzar bikhar gayā
hairat-zada haiñ log mirā 'azm dekh kar
maiñ pech-o-ḳham kī raah pe chal kar sañvar gayā
zāteñ tamām firqa-parastī meñ baT ga.iiñ
'vāqif' talāsh kartā hai insāñ kidhar gayā
haiwaniyat ka zahr dilon mein utar gaya
basti se apni kaun sa mausam guzar gaya
unche makan wale jo the saf bach gae
ilzam-e-qatl sara gharibon ke sar gaya
didar ho raha tha mujhe un ka KHwab mein
aankhen khulin to KHushnuma manzar bikhar gaya
hairat-zada hain log mera 'azm dekh kar
main pech-o-KHam ki rah pe chal kar sanwar gaya
zaten tamam firqa-parasti mein baT gain
'waqif' talash karta hai insan kidhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.