halak-e-ghamza-e-baatil nahin hai
halāk-e-ġhamza-e-bātil nahīñ hai
mire siine meñ aisā dil nahīñ hai
nahīñ hai ik sukūn-e-dil nahīñ hai
vagarna kyā mujhe hāsil nahīñ hai
zamāne kī masīhā.ī se hāsil
vahī jab chārasāz-e-dil nahīñ hai
yahī kahtā huuñ dil se har qadam par
are zālim yahī manzil nahīñ hai
vo aisā kaun sā aañsū hai jis meñ
mirā ḳhūn-e-jigar shāmil nahīñ hai
mohabbat se koī dekhe to dekhe
ki dil hai kāsa-e-sā.il nahīñ hai
rahīn-e-ġham sahī 'hairat' magar dil
charāġh-e-kushta-e-mahfil nahīñ hai
halak-e-ghamza-e-baatil nahin hai
mere sine mein aisa dil nahin hai
nahin hai ek sukun-e-dil nahin hai
wagarna kya mujhe hasil nahin hai
zamane ki masihai se hasil
wahi jab chaarasaz-e-dil nahin hai
yahi kahta hun dil se har qadam par
are zalim yahi manzil nahin hai
wo aisa kaun sa aansu hai jis mein
mera KHun-e-jigar shamil nahin hai
mohabbat se koi dekhe to dekhe
ki dil hai kasa-e-sail nahin hai
rahin-e-gham sahi 'hairat' magar dil
charagh-e-kushta-e-mahfil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.