halak-e-tegh-e-jafa ya shahid-e-naz kare
halāk-e-teġh-e-jafā yā shahīd-e-nāz kare
tirā karam hai jise jaise sarfarāz kare
har ek zarra hai aalam kā gosh-bar-āvāz
to phir kahāñ pe koī guftugū-e-rāz kare
tajalliyāñ jise ghere hoñ tere jalve kī
vo dair o ka.aba meñ kyā ḳhaak imtiyāz kare
muhāl tark-e-ḳhayāl-e-najāt hai lekin
vo be-niyāz jise chāhe be-niyāz kare
mire karīm jo be-māñge tujh se paatā ho
vo jā ke kyuuñ kahīñ dast-e-talab darāz kare
ye husn-o-ishq kā hai ittihād-e-yak-rañgī
vahī hai marzī-e-mahmūd jo ayaaz kare
banā.e zinda-e-jāved yā rakhe 'bedam'
mire sar āñkhoñ pe jo kuchh nigāh-e-nāz kare
halak-e-tegh-e-jafa ya shahid-e-naz kare
tera karam hai jise jaise sarfaraaz kare
har ek zarra hai aalam ka gosh-bar-awaz
to phir kahan pe koi guftugu-e-raaz kare
tajalliyan jise ghere hon tere jalwe ki
wo dair o kaba mein kya KHak imtiyaz kare
muhaal tark-e-KHayal-e-najat hai lekin
wo be-niyaz jise chahe be-niyaz kare
mere karim jo be-mange tujh se pata ho
wo ja ke kyun kahin dast-e-talab daraaz kare
ye husn-o-ishq ka hai ittihad-e-yak-rangi
wahi hai marzi-e-mahmud jo ayaz kare
banae zinda-e-jawed ya rakhe 'bedam'
mere sar aankhon pe jo kuchh nigah-e-naz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.