halal rizq ka maula kuchh intizam bhi de
halāl rizq kā maulā kuchh intizām bhī de
mujhe diyā hai jo ilm-o-hunar to kaam bhī de
jagā zarā koī jaadū nazar kī jumbish se
nazar se koī sharārat bharā payām bhī de
pasand dostī chāhat niyāz ishq talab
jo hai tire mire mābain us ko naam bhī de
uThā ke jabr-o-sitam kis liye ḳhamosh haiñ ham
zabān dī hai to phir jur.at-e-kalām bhī de
barahna teġh vo lahrā rahā hai bar-sar-e-ām
jo teġh dī hai use to koī niyām bhī de
'shabāb' agar tire me.aar par kharā utre
to us kī shaan ke shāyāñ use maqām bhī de
halal rizq ka maula kuchh intizam bhi de
mujhe diya hai jo ilm-o-hunar to kaam bhi de
jaga zara koi jadu nazar ki jumbish se
nazar se koi shararat bhara payam bhi de
pasand dosti chahat niyaz ishq talab
jo hai tere mere mabain us ko nam bhi de
uTha ke jabr-o-sitam kis liye KHamosh hain hum
zaban di hai to phir jurat-e-kalam bhi de
barahna tegh wo lahra raha hai bar-sar-e-am
jo tegh di hai use to koi niyam bhi de
'shabab' agar tere mear par khara utre
to us ki shan ke shayan use maqam bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.