halki halki dhup khili thi
halkī halkī dhuup khilī thī
vo mere baazū baiThī thī
maiñ khoyā khoyā rahtā thā
vo uljhī uljhī rahtī thī
ghar meñ phuul bikhar jaate the
vo jab bhī khul kar hañstī thī
ab ke TuuTā thā sannāTā
ab ke ḳhāmoshī bolī thī
sunñe vaalā koī to hotā
ham ne kaam kī baat kahī thī
jab maiñ ishq meñ ḳhaak huā thā
tab sahrā meñ ḳhaak uḌī thī
ik jharne ne naġhma gaayā
patthar ne āvāz sunī thī
jashn thā barpā jañgal jañgal
shahroñ shahroñ aag lagī thī
ishq samundar thā be-parvā
ret meñ naddī sar dhuntī thī
aisī baat kahī thī us ne
sīdhe dil par choT lagī thī
pakkī īñToñ kā āñgan thā
dīvāroñ par bel ugī thī
halki halki dhup khili thi
wo mere bazu baiThi thi
main khoya khoya rahta tha
wo uljhi uljhi rahti thi
ghar mein phul bikhar jate the
wo jab bhi khul kar hansti thi
ab ke TuTa tha sannaTa
ab ke KHamoshi boli thi
sunne wala koi to hota
hum ne kaam ki baat kahi thi
jab main ishq mein KHak hua tha
tab sahra mein KHak uDi thi
ek jharne ne naghma gaya
patthar ne aawaz suni thi
jashn tha barpa jangal jangal
shahron shahron aag lagi thi
ishq samundar tha be-parwa
ret mein naddi sar dhunti thi
aisi baat kahi thi us ne
sidhe dil par choT lagi thi
pakki inTon ka aangan tha
diwaron par bel ugi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.