halqa-e-eatibar mein kab the
halqa-e-e.atibār meñ kab the
ham kisī ke shumār meñ kab the
ġhāza-pur-fareb kyā kartā
aa.ine iḳhtiyār meñ kab the
sāmnā aur ham faqīroñ kā
hausle shahryār meñ kab the
jashn-e-ruḳhsat hai shahr meñ jin kā
vo amān-e-hisār meñ kab the
dastakeñ nā-murād hī lauTīñ
vo mire intizār meñ kab the
boltī kyoñ nahīñ ye zanjīreñ
ye qadam kū-e-yār meñ kab the
ham se shā.ir 'majāz' pahle bhī
sarnavisht-e-dayār meñ kab the
halqa-e-eatibar mein kab the
hum kisi ke shumar mein kab the
ghaza-pur-fareb kya karta
aaine iKHtiyar mein kab the
samna aur hum faqiron ka
hausle shahryar mein kab the
jashn-e-ruKHsat hai shahr mein jin ka
wo aman-e-hisar mein kab the
dastaken na-murad hi lauTin
wo mere intizar mein kab the
bolti kyon nahin ye zanjiren
ye qadam ku-e-yar mein kab the
hum se shair 'majaz' pahle bhi
sarnawisht-e-dayar mein kab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.