halqa-e-zulf-e-siyah-fam ilahi tauba
halqa-e-zulf-e-siyah-fām ilāhī tauba
ishq kī koshish-e-nākām ilāhī tauba
coca-cola se bahak jaa.eñ jo vo rind haiñ ham
whiskey-o-Tharrā kā ik jaam ilāhī tauba
har qadam par use kāñTe hī bichhāte dekhā
kahne ko hai but-e-gulfām ilāhī tauba
pahle ham biima karā leñ to mohabbat bhī kareñ
maut aatī hai bahar-gām ilāhī tauba
sāqiyā ham to nigāhoñ se hī pī jaate haiñ
rind-e-pāband-e-mai-o-jām ilāhī tauba
pahle to qadr huā kartī thī husn-e-dil kī
mo'atabar ab hai magar jaam ilāhī tauba
un ke kirdār se shaitān bhī sharmātā hai
muñh meñ jin ke hai hare raam ilāhī tauba
halqa-e-zulf-e-siyah-fam ilahi tauba
ishq ki koshish-e-nakaam ilahi tauba
coca-cola se bahak jaen jo wo rind hain hum
whiskey-o-Tharra ka ek jam ilahi tauba
har qadam par use kanTe hi bichhate dekha
kahne ko hai but-e-gulfam ilahi tauba
pahle hum bima kara len to mohabbat bhi karen
maut aati hai bahar-gam ilahi tauba
saqiya hum to nigahon se hi pi jate hain
rind-e-paband-e-mai-o-jam ilahi tauba
pahle to qadr hua karti thi husn-e-dil ki
mo'atabar ab hai magar jam ilahi tauba
un ke kirdar se shaitan bhi sharmata hai
munh mein jin ke hai hare ram ilahi tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.