halqa halqa lag raha hai phul ab zanjir ka
halqa halqa lag rahā hai phuul ab zanjīr kā
mahv-e-lutf-e-ḳhvāb āñkheñ kyā kareñ tā'bīr kā
phir nayā maqtal abhī pusht-e-faras chhoḌī nahīñ
aur na ḳhuuñ hī suukh paayā hai mirī shamshīr kā
jaan se jaanā paḌegā jānñe rāz-e-hayāt
ḳhvāb meñ nusḳha milegā niiñd kī tasḳhīr kā
vādī-e-aiman meñ ham āñkhoñ ko hāthoñ meñ liye
shauq se sadqa utāreñge tirī tasvīr kā
maañ hī zāmin hai 'safar' ab tak mirī tā'mīr kī
baap ab tak bojh Dhotā hai mirī taqdīr kā
halqa halqa lag raha hai phul ab zanjir ka
mahw-e-lutf-e-KHwab aankhen kya karen ta'bir ka
phir naya maqtal abhi pusht-e-faras chhoDi nahin
aur na KHun hi sukh paya hai meri shamshir ka
jaan se jaana paDega jaanne raaz-e-hayat
KHwab mein nusKHa milega nind ki tasKHir ka
wadi-e-aiman mein hum aankhon ko hathon mein liye
shauq se sadqa utarenge teri taswir ka
man hi zamin hai 'safar' ab tak meri ta'mir ki
bap ab tak bojh Dhota hai meri taqdir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.