hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye
ham ādam-zād jo haiñ roz-e-avval se kamī hai ye
ki jo hai maut us ko jānte haiñ zindagī hai ye
jo manzar hai so aa kar muḳhtalif hai sab kī ā.ankhoñ meñ
phir āñkheñ dekhtī haiñ kyā tamāshā dīdanī hai ye
yahāñ dasht-e-talab meñ ek maiñ huuñ aur sivā mere
sarāboñ ko nichoḌe jā rahī ik tishnagī hai ye
añdhere dil ne kī thī aarzū us ke ujāloñ kī
mirī āñkheñ hī chhīne le rahā hai raushnī hai ye
us ik be-mehr se tark-e-ta.alluq par nadāmat kyā
gavārā kar liye kaise sitam sharmindagī hai ye
bahut dekhā hai tum ne husn-e-sannā.ī magar us ko
jo dekho to kahoge vāh-vā barjastagī hai ye
kashish mardum kī ye hai yā numūd-e-najm-e-asvad hai
vafūr-e-nūr hai yā intihā-e-tīrgī hai ye
musāfir dā.ere ke ham gumān-e-istaqāmat meñ
bahut aage nikal aa.e haiñ ya.anī vāpsī hai ye
hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye
ki jo hai maut us ko jaante hain zindagi hai ye
jo manzar hai so aa kar muKHtalif hai sab ki aaankhon mein
phir aankhen dekhti hain kya tamasha didani hai ye
yahan dasht-e-talab mein ek main hun aur siwa mere
sarabon ko nichoDe ja rahi ek tishnagi hai ye
andhere dil ne ki thi aarzu us ke ujalon ki
meri aankhen hi chhine le raha hai raushni hai ye
us ek be-mehr se tark-e-talluq par nadamat kya
gawara kar liye kaise sitam sharmindagi hai ye
bahut dekha hai tum ne husn-e-sannai magar us ko
jo dekho to kahoge wah-wa barjastagi hai ye
kashish mardum ki ye hai ya numud-e-najm-e-aswad hai
wafur-e-nur hai ya intiha-e-tirgi hai ye
musafir daere ke hum guman-e-istaqamat mein
bahut aage nikal aae hain yani wapsi hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.