hum aaj apne tasawwur mein bar bar aae
ham aaj apne tasavvur meñ baar baar aa.e
guzishta umr ka.ī martaba guzār aa.e
bahār-e-lāla-o-gul itnī muḳhtasar kyoñ ho
ki e'tibār kī had tak na e'tibār aa.e
guloñ kā jā.eza le kar shumār kartā huuñ
mire nasīb meñ zaḳhmoñ ke kitne haar aa.e
talab-shanās sitāroñ kī anjuman meñ ga.e
nazar se vādī-e-mahtāb meñ pukār aa.e
har ek dil ko kiyā rū-shanās ai 'nāzish'
har ā.īne meñ vahī aks ham utaar aa.e
hum aaj apne tasawwur mein bar bar aae
guzishta umr kai martaba guzar aae
bahaar-e-lala-o-gul itni muKHtasar kyon ho
ki e'tibar ki had tak na e'tibar aae
gulon ka jaeza le kar shumar karta hun
mere nasib mein zaKHmon ke kitne haar aae
talab-shanas sitaron ki anjuman mein gae
nazar se wadi-e-mahtab mein pukar aae
har ek dil ko kiya ru-shanas ai 'nazish'
har aaine mein wahi aks hum utar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.