hum aaj KHud ko tumhaara ghulam karte hain
ham aaj ḳhud ko tumhārā ġhulām karte haiñ
har ek saañs tumhāre hī naam karte haiñ
sikhā ga.ī haiñ adab Dāliyāñ shajar kī hameñ
lo ham jabīñ ko jhukā kar salām karte haiñ
jinheñ hai fikr yahāñ pe ġharīb logoñ kī
vo hī ġharīboñ kā jiinā harām karte haiñ
sarā.e meñ na rukeñge na kisī bastī meñ
ham ishq vaale haiñ dil meñ qiyām karte haiñ
qafas kī qaid se apnī rihā.ī kī har dam
guzārisheñ ye parinde tamām karte haiñ
unhīñ ne jiitī haiñ baazī baḌī baḌī 'sāriq'
vahī jo kachhve ke jaise ḳhirām karte haiñ
hum aaj KHud ko tumhaara ghulam karte hain
har ek sans tumhaare hi nam karte hain
sikha gai hain adab Daliyan shajar ki hamein
lo hum jabin ko jhuka kar salam karte hain
jinhen hai fikr yahan pe gharib logon ki
wo hi gharibon ka jina haram karte hain
sarae mein na rukenge na kisi basti mein
hum ishq wale hain dil mein qiyam karte hain
qafas ki qaid se apni rihai ki har dam
guzarishen ye parinde tamam karte hain
unhin ne jiti hain bazi baDi baDi 'sariq'
wahi jo kachhwe ke jaise KHiram karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.