hum aaKHiri hain hamare jaise so ab hamara KHala banega
hum aaKHiri hain hamare jaise so ab hamara KHala banega
Babar Ali Asad
MORE BYBabar Ali Asad
ham āḳhirī haiñ hamāre jaise so ab hamārā ḳhalā banegā
na maiñ hī bār-e-digar huuñ mumkin na tujh sā hī dūsrā banegā
ye tañg zehnoñ se baat kar ke rukāvaTeñ hī na duur kar leñ
ka.ī mizājoñ kī ḳhair hogī agar ye rasta khulā banegā
qasam tirī be-niyāziyoñ kī maiñ sab ye pahle hī jāntā thā
mujhe kisī ne kahā huā thā ye tere hāthoñ ḳhudā banegā
nahīñ mohabbat vo kār-e-imkāñ duā pe rakkheñ ḳhudā pe chhoḌeñ
tum is ko farzī se mat banāo mo.āmla mas.ala banegā
tire hunar kī ho ḳhair aazar hameñ jo toḌo to dhyān rakhiyo
hamārī miTTī to bhur-bhurī hai hamārī miTTī se kyā banegā
hum aaKHiri hain hamare jaise so ab hamara KHala banega
na main hi bar-e-digar hun mumkin na tujh sa hi dusra banega
ye tang zehnon se baat kar ke rukawaTen hi na dur kar len
kai mizajon ki KHair hogi agar ye rasta khula banega
qasam teri be-niyaziyon ki main sab ye pahle hi jaanta tha
mujhe kisi ne kaha hua tha ye tere hathon KHuda banega
nahin mohabbat wo kar-e-imkan dua pe rakkhen KHuda pe chhoDen
tum is ko farzi se mat banao moamla masala banega
tere hunar ki ho KHair aazar hamein jo toDo to dhyan rakhiyo
hamari miTTi to bhur-bhuri hai hamari miTTi se kya banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.