hum aansuon sa ubal rahe hain
ham āñsuoñ sā ubal rahe haiñ
āñkhoñ se tirī nikal rahe haiñ
tum saath kahīñ nahīñ ho lekin
ham saath tumhāre chal rahe haiñ
ye kis kā intizār hai aaj
lamhāt sadī meñ Dhal rahe haiñ
mehmāñ kī tarah vo ashk ban kar
āñkhoñ meñ hamārī pal rahe haiñ
rahnā hai tumhāre dil meñ varna
qadmoñ meñ ka.ī mahal rahe haiñ
mahfil meñ navāzā jin guloñ ko
gulshan meñ unheñ masal rahe haiñ
be-kār haiñ 'aks' din meñ jugnū
sūraj ke ujāle khal rahe haiñ
hum aansuon sa ubal rahe hain
aankhon se teri nikal rahe hain
tum sath kahin nahin ho lekin
hum sath tumhaare chal rahe hain
ye kis ka intizar hai aaj
lamhat sadi mein Dhal rahe hain
mehman ki tarah wo ashk ban kar
aankhon mein hamari pal rahe hain
rahna hai tumhaare dil mein warna
qadmon mein kai mahal rahe hain
mahfil mein nawaza jin gulon ko
gulshan mein unhen masal rahe hain
be-kar hain 'aks' din mein jugnu
suraj ke ujale khal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.