hum aap ki aankhon mein is dil ko basa den to
ham aap kī āñkhoñ meñ is dil ko basā deñ to
ham muuñd ke palkoñ ko is dil ko sazā deñ to
in zulfoñ meñ gūñdheñge ham phuul mohabbat ke
zulfoñ ko jhaTak kar ham ye phuul girā deñ to
ham aap ko ḳhvāboñ meñ lā lā ke satā.eñge
ham aap kī āñkhoñ se nīñdeñ hī uḌā deñ to
ham aap ke qadmoñ par gir jā.eñge ġhash khā kar
is par bhī na ham apne āñchal kī havā deñ to
hum aap ki aankhon mein is dil ko basa den to
hum mund ke palkon ko is dil ko saza den to
in zulfon mein gundhenge hum phul mohabbat ke
zulfon ko jhaTak kar hum ye phul gira den to
hum aap ko KHwabon mein la la ke sataenge
hum aap ki aankhon se ninden hi uDa den to
hum aap ke qadmon par gir jaenge ghash kha kar
is par bhi na hum apne aanchal ki hawa den to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.