hum aapdaon mein awsar talash karte hue
hum aapdaon mein awsar talash karte hue
Dr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'
MORE BYDr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'
ham āpdāoñ meñ avsar talāsh karte hue
shikārī khet meñ tītar talāsh karte hue
tumhāre shahr ke logoñ ke haath aaya ḳhudā
hamāre vāste patthar talāsh karte hue
na jaane raah se kab kī bhaTak ga.ī duniyā
ka.ī zamānoñ se rahbar talāsh karte hue
hai zindagī kā guzar hasratoñ ke jangal se
koī hasīn kā manzar talāsh karte hue
kahāñ kahāñ maiñ liye jā.ūñ saath sūraj ko
siyāh raat meñ aḳhtar talāsh karte hue
yaqīñ nahīñ thā use qabr par chalā aaya
hamāre naam kā patthar talāsh karte hue
bahut se log to qismat se haath dho baiThe
hatheliyoñ meñ muqaddar talāsh karte hue
na jaane kaise uḌe dil ke haath se tote
nafas kī chhat pe kabūtar talāsh karte hue
bahut udaas hai dār-o-rasan sunā hai ġhazal
ujāloñ ke liye ik sar talāsh karte hue
hum aapdaon mein awsar talash karte hue
shikari khet mein titar talash karte hue
tumhaare shahr ke logon ke hath aaya KHuda
hamare waste patthar talash karte hue
na jaane rah se kab ki bhaTak gai duniya
kai zamanon se rahbar talash karte hue
hai zindagi ka guzar hasraton ke jangal se
koi hasin ka manzar talash karte hue
kahan kahan main liye jaun sath suraj ko
siyah raat mein aKHtar talash karte hue
yaqin nahin tha use qabr par chala aaya
hamare nam ka patthar talash karte hue
bahut se log to qismat se hath dho baiThe
hatheliyon mein muqaddar talash karte hue
na jaane kaise uDe dil ke hath se tote
nafas ki chhat pe kabutar talash karte hue
bahut udas hai dar-o-rasan suna hai ghazal
ujalon ke liye ek sar talash karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.