hum aasman ki surat the par zamin rahe
ham āsmān kī sūrat the par zamīn rahe
tumhāre paañv pe rakkhī huī jabīn rahe
duā rahegī ham aise ḳhizāñ-rasīdoñ kī
ḳhudā kare ki tū sarsabz aur hasīn rahe
hamāre dil se nikalte huoñ ko saat salām
vo is liye ki vo is habs meñ makīn rahe
hamāre ḳhvāb jo dekhe the ham ne tere liye
vo ḳhvāb ḳhvāb nahīñ the hamārā diin rahe
maiñ apne sar kī qasam de ke us se kahtā thā
ki maiñ rahūñ na rahūñ par mirā yaqīn rahe
hum aasman ki surat the par zamin rahe
tumhaare panw pe rakkhi hui jabin rahe
dua rahegi hum aise KHizan-rasidon ki
KHuda kare ki tu sarsabz aur hasin rahe
hamare dil se nikalte huon ko sat salam
wo is liye ki wo is habs mein makin rahe
hamare KHwab jo dekhe the hum ne tere liye
wo KHwab KHwab nahin the hamara din rahe
main apne sar ki qasam de ke us se kahta tha
ki main rahun na rahun par mera yaqin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.