hum abhi pakke adakar nahin hain bhai
ham abhī pakke adākār nahīñ haiñ bhaa.ī
is liye lā.eq-e-dastār nahīñ haiñ bhaa.ī
ye jo har roz kā ronā hai hamārā ronā
ham mohabbat meñ samajhdār nahīñ haiñ bhaa.ī
is liye ghar meñ koī rakkhā na thā darvāza
maiñ samajhtā thā ki dīvār nahīñ haiñ bhaa.ī
mujh meñ jaarī hai musalsal ye jo dariyā-e-shakeb
june ke roze bhī dushvār nahīñ haiñ bhaa.ī
ḳhūn-ḳhvārī bhī bharose se janam letī hai
shukr kartā huuñ ki ġham-ḳhvār nahīñ haiñ bhaa.ī
tum yahāñ aane kā ik baar irāda to karo
mas.ale itne bhī dushvār nahīñ haiñ bhaa.ī
beach meñ aa.e haiñ jis din se parā.e rishte
baat bhī karne ko tayyār nahīñ haiñ bhaa.ī
hum abhi pakke adakar nahin hain bhai
is liye laeq-e-dastar nahin hain bhai
ye jo har roz ka rona hai hamara rona
hum mohabbat mein samajhdar nahin hain bhai
is liye ghar mein koi rakkha na tha darwaza
main samajhta tha ki diwar nahin hain bhai
mujh mein jari hai musalsal ye jo dariya-e-shakeb
june ke roze bhi dushwar nahin hain bhai
KHun-KHwari bhi bharose se janam leti hai
shukr karta hun ki gham-KHwar nahin hain bhai
tum yahan aane ka ek bar irada to karo
masale itne bhi dushwar nahin hain bhai
beach mein aae hain jis din se parae rishte
baat bhi karne ko tayyar nahin hain bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.