hum achchhe mazamin ko ghaarat nahin karte
ham achchhe mazāmīn ko ġhārat nahīñ karte
bachchoñ kī tarah aisī sharārat nahīñ karte
ġhazloñ kī to har tarah se karte haiñ hifāzat
bhūle se bhī nazmoñ kī tijārat nahīñ karte
Dhah jaa.e jo ik ret kī dīvār kī sūrat
ta.amīr havāoñ meñ imārat nahīñ karte
sah lete haiñ dānista bhī hālāt ke dhakke
lekin shah-e-jābir kī safārat nahīñ karte
guzrī jo sadī terī thī ab merī hai merī
ġhālib se ye kahne kī jasārat nahīñ karte
urdu ke kuchh aise bhī suḳhnavar haiñ jo 'nāshād'
urdu meñ kalām apnā ibārat nahīñ karte
hum achchhe mazamin ko ghaarat nahin karte
bachchon ki tarah aisi shararat nahin karte
ghazlon ki to har tarah se karte hain hifazat
bhule se bhi nazmon ki tijarat nahin karte
Dhah jae jo ek ret ki diwar ki surat
tamir hawaon mein imarat nahin karte
sah lete hain danista bhi haalat ke dhakke
lekin shah-e-jabir ki safarat nahin karte
guzri jo sadi teri thi ab meri hai meri
ghaalib se ye kahne ki jasarat nahin karte
urdu ke kuchh aise bhi suKHnawar hain jo 'nashad'
urdu mein kalam apna ibarat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.