hum agar dariya ki maujon se rawani mangte
ham agar dariyā kī maujoñ se ravānī māñgte
phir to sūkhe peḌ bhī bādal se paanī māñgte
dil meñ ik sho.ala hai jis ko zinda rakhne ke liye
tujh se yā-rab ham haiñ umr-e-jāvedānī māñgte
log nashshe se agar hushiyār ho paate to phir
zindagī kā lamha lamha dāstānī māñgte
is tarah ghuT ghuT ke marne se to behtar thā ki log
ek hī din kaash marg-e-nā-gahānī māñgte
apne ghar aane kī fursat bhī to yaaro chāhiye
ḳhud se mil paate to ham yādeñ purānī māñgte
hum agar dariya ki maujon se rawani mangte
phir to sukhe peD bhi baadal se pani mangte
dil mein ek shoala hai jis ko zinda rakhne ke liye
tujh se ya-rab hum hain umr-e-jawedani mangte
log nashshe se agar hushiyar ho pate to phir
zindagi ka lamha lamha dastani mangte
is tarah ghuT ghuT ke marne se to behtar tha ki log
ek hi din kash marg-e-na-gahani mangte
apne ghar aane ki fursat bhi to yaro chahiye
KHud se mil pate to hum yaaden purani mangte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.