hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte
hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte
Saeeduzzamaan Abbasi
MORE BYSaeeduzzamaan Abbasi
ham ahl-e-dil bhī agar fikr-e-jān-o-tan karte
to log husn pe iz.hār-e-husn-e-zan karte
bhaTak rahī haiñ ḳhizāñ diida ḳhār-o-ḳhas kī tarah
vo kam nazar jo chale the chaman chaman karte
bahār kab thī tirā aa.ina ki dīvāne
qabā-e-gul kī tarah chaak pairahan karte
sañvārtā na koī terī zulf-e-mushkīñ ko
jo ham bhī pairvī-e-āhū-e-ḳhutan karte
hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte
to log husn pe izhaar-e-husn-e-zan karte
bhaTak rahi hain KHizan dida KHar-o-KHas ki tarah
wo kam nazar jo chale the chaman chaman karte
bahaar kab thi tera aaina ki diwane
qaba-e-gul ki tarah chaak pairahan karte
sanwarta na koi teri zulf-e-mushkin ko
jo hum bhi pairwi-e-ahu-e-KHutan karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.