hum ahl-e-dil ka samajhiye qarar baqi hai
ham ahl-e-dil kā samajhiye qarār baaqī hai
kahīñ koī jo mohabbat-shi'ār baaqī hai
khulī hī rah ga.iiñ bīmār-e-hijr kī āñkheñ
hayāt biit ga.ī intizār baaqī hai
tabāhiyoñ ke sile meñ sukūn-e-dil ke liye
tasavvur-e-nigah-e-sharmsār baaqī hai
lahū ke phuul khile haiñ ravish-ravish dekho
mire chaman meñ abhī tak bahār baaqī hai
agar idhar se koī kārvāñ nahīñ guzrā
to phir ye raah meñ kaisā ġhubār baaqī hai
salīb-o-dār usī kī to surḳhiyāñ haiñ 'ra.īs'
vo dāstāñ jo sar-e-kū-e-yār baaqī hai
hum ahl-e-dil ka samajhiye qarar baqi hai
kahin koi jo mohabbat-shi'ar baqi hai
khuli hi rah gain bimar-e-hijr ki aankhen
hayat bit gai intizar baqi hai
tabahiyon ke sile mein sukun-e-dil ke liye
tasawwur-e-nigah-e-sharmsar baqi hai
lahu ke phul khile hain rawish-rawish dekho
mere chaman mein abhi tak bahaar baqi hai
agar idhar se koi karwan nahin guzra
to phir ye rah mein kaisa ghubar baqi hai
salib-o-dar usi ki to surKHiyan hain 'rais'
wo dastan jo sar-e-ku-e-yar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.