hum ahl-e-fan nahin hain ya ahl-e-suKHan nahin
hum ahl-e-fan nahin hain ya ahl-e-suKHan nahin
Khwaja Aminuddin Ameen
MORE BYKhwaja Aminuddin Ameen
ham ahl-e-fan nahīñ haiñ yā ahl-e-suḳhan nahīñ
kyā anjuman hamārī koī anjuman nahīñ
ye inqilāb-e-vaqt kī sāzish hai in dinoñ
ham bāġhbāñ bhī ho ke hamārā chaman nahīñ
kab tak bahegā ḳhuuñ yahāñ insāniyat kā dost
ye dushmanān-e-amn kā achchhā chalan nahīñ
ham par uThā.e ungliyāñ duniyā agarche ham
pahne hue to aisā koī pairahan nahīñ
kitnī ajiib baat hai ham ajnabī se haiñ
rah kar vatan meñ phir bhī hamārā vatan nahīñ
ghabrā ke hādsoñ se kahāñ jāoge 'amīn'
vo kaun sī jagah hai ki jo pur-fitan nahīñ
hum ahl-e-fan nahin hain ya ahl-e-suKHan nahin
kya anjuman hamari koi anjuman nahin
ye inqilab-e-waqt ki sazish hai in dinon
hum baghban bhi ho ke hamara chaman nahin
kab tak bahega KHun yahan insaniyat ka dost
ye dushmanan-e-amn ka achchha chalan nahin
hum par uThae ungliyan duniya agarche hum
pahne hue to aisa koi pairahan nahin
kitni ajib baat hai hum ajnabi se hain
rah kar watan mein phir bhi hamara watan nahin
ghabra ke hadson se kahan jaoge 'amin'
wo kaun si jagah hai ki jo pur-fitan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.