hum ai gham-e-hayat na jaane kahan rahe
hum ai gham-e-hayat na jaane kahan rahe
Azmat Abdul Qayyum Khan
MORE BYAzmat Abdul Qayyum Khan
ham ai ġham-e-hayāt na jaane kahāñ rahe
jab husn-e-ittifāq se vo mehrbāñ rahe
jis vaqt chhiḌ ga.ī hai nigār-e-sahar kī baat
taare shab-e-firāq mire ham-zabāñ rahe
kyā ehtimām-e-husn-e-chaman kar sake bayāñ
jab ḳhud dil-e-bahār meñ paiham ḳhizāñ rahe
phir zindagī kare na koī aur aarzū
gar us ke saath ek ġham-e-jāvedāñ rahe
yā manziloñ ke zikr se tum ne diyā fareb
yā ham hī mahv-e-gard-e-rah-e-kārvāñ rahe
nākāmiyoñ kā ab ye taqāzā hai baar baar
har vaqt ek kashmakash-e-imtihāñ rahe
tārīk rāste meñ bhī 'azmat' hamāre saath
zaḳhm-e-vafā meñ rañg-e-mah-o-kahkashāñ rahe
hum ai gham-e-hayat na jaane kahan rahe
jab husn-e-ittifaq se wo mehrban rahe
jis waqt chhiD gai hai nigar-e-sahar ki baat
tare shab-e-firaq mere ham-zaban rahe
kya ehtimam-e-husn-e-chaman kar sake bayan
jab KHud dil-e-bahaar mein paiham KHizan rahe
phir zindagi kare na koi aur aarzu
gar us ke sath ek gham-e-jawedan rahe
ya manzilon ke zikr se tum ne diya fareb
ya hum hi mahw-e-gard-e-rah-e-karwan rahe
nakaamiyon ka ab ye taqaza hai bar bar
har waqt ek kashmakash-e-imtihan rahe
tarik raste mein bhi 'azmat' hamare sath
zaKHm-e-wafa mein rang-e-mah-o-kahkashan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.