hum aise jaanwaron se Dara hua jangal
ham aise jānvaroñ se Darā huā jangal
nagar se duur bahut duur bhāgtā jangal
ye faisla huā ham meñ kahā-sunī ke baa'd
mirā makān parindoñ kā ghar mirā jangal
hamāre siine meñ vahshat kī aag lag ga.ī hai
hamārā siina ki pahle se thā ghanā jangal
ye shahr raat ko ḳhvāboñ meñ dekhtā hogā
khule baḌhe hue gaañv harā-bharā jangal
mujhe vo ruuh meñ ghar kar rahā thā chāhiye thā
mire darūn ke vahshī ko jism kā jangal
lagā ke mujh meñ gayā thā umiid kā paudā
maiñ us ke lauTne tak dekh ho gayā jangal
hum aise jaanwaron se Dara hua jangal
nagar se dur bahut dur bhagta jangal
ye faisla hua hum mein kaha-suni ke ba'd
mera makan parindon ka ghar mera jangal
hamare sine mein wahshat ki aag lag gai hai
hamara sina ki pahle se tha ghana jangal
ye shahr raat ko KHwabon mein dekhta hoga
khule baDhe hue ganw hara-bhara jangal
mujhe wo ruh mein ghar kar raha tha chahiye tha
mere darun ke wahshi ko jism ka jangal
laga ke mujh mein gaya tha umid ka pauda
main us ke lauTne tak dekh ho gaya jangal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.