hum aise log kahan manzilon ko pate hain
ham aise log kahāñ manziloñ ko paate haiñ
ham aise log faqat rāste banāte haiñ
ye tere jism ko chhū kar pata chalā hai mujhe
ki narm phuul bahut jald suukh jaate haiñ
ye kaam hijr meñ bid.at shumār hotā hai
magar ye dekh ki ham phir bhī muskurāte haiñ
tirā to ḳhair koī tujh se duur hī na gayā
tujhe ḳhabar hī nahīñ saañs kaise aate haiñ
nazar na ā.eñge tujh ko ġhubār uḌne de
tire liye jo mujhe raah se haTāte haiñ
tumhāre ḳhvāb ġhanīmat haiñ bujhtī āñkhoñ ko
magar ye ḳhvāb hameñ niiñd se jagāte haiñ
ye kaun baaġh meñ 'sāhir' dikhā.ī dene lagā
ki phuul peḌ parinde ḳhushī manāte haiñ
hum aise log kahan manzilon ko pate hain
hum aise log faqat raste banate hain
ye tere jism ko chhu kar pata chala hai mujhe
ki narm phul bahut jald sukh jate hain
ye kaam hijr mein bidat shumar hota hai
magar ye dekh ki hum phir bhi muskuraate hain
tera to KHair koi tujh se dur hi na gaya
tujhe KHabar hi nahin sans kaise aate hain
nazar na aaenge tujh ko ghubar uDne de
tere liye jo mujhe rah se haTate hain
tumhaare KHwab ghanimat hain bujhti aankhon ko
magar ye KHwab hamein nind se jagate hain
ye kaun bagh mein 'sahir' dikhai dene laga
ki phul peD parinde KHushi manate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.