hum aise log shishe mein utar jate hain dil-dara
ham aise log shīshe meñ utar jaate haiñ dil-dārā
chhanak kar TuuT jaate haiñ bikhar jaate haiñ dil-dārā
harā rahtā hai duniyā meñ har ik paudā mohabbat kā
jahāñ tak shāḳh jaatī hai samar jaate haiñ dil-dārā
hamāre dil kī chingārī ko bas ik phūñk kaafī hai
ziyāda saañs le koī to Dar jaate haiñ dil-dārā
bahut din kah liyā ham tum pe marte tum pe marte haiñ
bas ab kī baar yuuñ karte haiñ mar jaate haiñ dil-dārā
ham apne chaukhaTe meñ hī khaḌe rahte haiñ be-jumbish
hamāre paañv se raste guzar jaate haiñ dil-dārā
jaḌeñ mazbūt rakhne se ġharaz hai apne paudoñ ko
ye sar kaTvā.eñ to ulTā sañvar jaate haiñ dil-dārā
vahāñ tak justujū be-minnat-e-ummīd jaatī hai
jahāñ tak saath saḌkoñ ke shajar jaate haiñ dildār
bas ab kuchh aur to lenā nahīñ bāzār-e-duniyā se
dukāneñ band hone ko haiñ ghar jaate haiñ dil-dārā
hum aise log shishe mein utar jate hain dil-dara
chhanak kar TuT jate hain bikhar jate hain dil-dara
hara rahta hai duniya mein har ek pauda mohabbat ka
jahan tak shaKH jati hai samar jate hain dil-dara
hamare dil ki chingari ko bas ek phunk kafi hai
ziyaada sans le koi to Dar jate hain dil-dara
bahut din kah liya hum tum pe marte tum pe marte hain
bas ab ki bar yun karte hain mar jate hain dil-dara
hum apne chaukhaTe mein hi khaDe rahte hain be-jumbish
hamare panw se raste guzar jate hain dil-dara
jaDen mazbut rakhne se gharaz hai apne paudon ko
ye sar kaTwaen to ulTa sanwar jate hain dil-dara
wahan tak justuju be-minnat-e-ummid jati hai
jahan tak sath saDkon ke shajar jate hain dildar
bas ab kuchh aur to lena nahin bazar-e-duniya se
dukanen band hone ko hain ghar jate hain dil-dara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.