hum aise murawwat ke satae hue log
ham aise muravvat ke satā.e hue log
dil toḌ ga.e dil meñ basā.e hue log
ik pal meñ mohabbat ne banāyā hai faqīr
chhīne haiñ mohabbat ne kamā.e hue log
shāyad hī milan kī de ijāzat ye zamīr
kab dil ko lage lauT ke aa.e hue log
samjhe vo bhī dāvat ko mohabbat kā payām
majbūrī se mahfil meñ bulā.e hue log
rahte haiñ sadā ban ke vo ibrat kā nishāñ
kam-baḳht mohabbat ke jalā.e hue log
patthar ko hī hāsil hai mohabbat se najāt
behtar haiñ ye patthar ke banā.e hue log
karte haiñ 'mudassir' vo mohabbat se gurez
ik baar mohabbat ke gañvā.e hue log
hum aise murawwat ke satae hue log
dil toD gae dil mein basae hue log
ek pal mein mohabbat ne banaya hai faqir
chhine hain mohabbat ne kamae hue log
shayad hi milan ki de ijazat ye zamir
kab dil ko lage lauT ke aae hue log
samjhe wo bhi dawat ko mohabbat ka payam
majburi se mahfil mein bulae hue log
rahte hain sada ban ke wo ibrat ka nishan
kam-baKHt mohabbat ke jalae hue log
patthar ko hi hasil hai mohabbat se najat
behtar hain ye patthar ke banae hue log
karte hain 'mudassir' wo mohabbat se gurez
ek bar mohabbat ke ganwae hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.