hum ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte hain
ham ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte haiñ
har qadam ek na.ī rāhguzar rakhte haiñ
zad pe tūfān ke kāġhaz kā nagar rakhte haiñ
laakh sailāb-e-havādis ho magar rakhte haiñ
is ke bā-vasf ki har samt añdherā hai muhīt
ham haiñ vo log jo ummīd-e-sahar rakhte haiñ
terī bāteñ tirī yādeñ tire rañgīn ḳhutūt
apne hamrāh yahī zād-e-safar rakhte haiñ
ham ḳhatāvār-e-zamāna haiñ farishte to nahīñ
haiñ ziyāñ-kār ki ausāf-e-bashar rakhte haiñ
dil ke juzdān meñ ik naam sajā hai 'nāsir'
ham kisī haal meñ hoñ us kī ḳhabar rakhte haiñ
hum ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte hain
har qadam ek nai rahguzar rakhte hain
zad pe tufan ke kaghaz ka nagar rakhte hain
lakh sailab-e-hawadis ho magar rakhte hain
is ke ba-wasf ki har samt andhera hai muhit
hum hain wo log jo ummid-e-sahar rakhte hain
teri baaten teri yaaden tere rangin KHutut
apne hamrah yahi zad-e-safar rakhte hain
hum KHatawar-e-zamana hain farishte to nahin
hain ziyan-kar ki ausaf-e-bashar rakhte hain
dil ke juzdan mein ek nam saja hai 'nasir'
hum kisi haal mein hon us ki KHabar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.