hum andhere mein aa nahin sakte
ham añdhere meñ aa nahīñ sakte
apnā saaya miTā nahīñ sakte
āñdhiyāñ chhīn le ga.iiñ patte
ab shajar gungunā nahīñ sakte
maujeñ apnī haiñ apnā dariyā hai
pyaas phir bhī bujhā nahīñ sakte
chhīnñe vaalo dūsroñ kī ḳhushī
tum kabhī muskurā nahīñ sakte
phuul kāġhaz ke apne hoñToñ tak
titliyoñ ko bulā nahīñ sakte
qātilo nanhe jugnuoñ kā lahū
raushnī hai chhupā nahīñ sakte
jin kī āñkhoñ ke ḳhvāb zinda haiñ
un ko qisse sulā nahīñ sakte
vaqt ke haath bhī kabhī 'kāzim'
naqsh mere miTā nahīñ sakte
hum andhere mein aa nahin sakte
apna saya miTa nahin sakte
aandhiyan chhin le gain patte
ab shajar gunguna nahin sakte
maujen apni hain apna dariya hai
pyas phir bhi bujha nahin sakte
chhinne walo dusron ki KHushi
tum kabhi muskura nahin sakte
phul kaghaz ke apne honTon tak
titliyon ko bula nahin sakte
qatilo nanhe jugnuon ka lahu
raushni hai chhupa nahin sakte
jin ki aankhon ke KHwab zinda hain
un ko qisse sula nahin sakte
waqt ke hath bhi kabhi 'kazim'
naqsh mere miTa nahin sakte
- Book : کتاب سنگ (Pg. 42)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.