Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apne aap se aage guzar jate to achchha tha

Shabnam Munavari

hum apne aap se aage guzar jate to achchha tha

Shabnam Munavari

ham apne aap se aage guzar jaate to achchhā thā

kisī se pyaar karte aur mar jaate to achchhā thā

havā ḳhushbū sameTe shahr jānib chalī aatī

kabhī dasht-o-jabal ye kaam kar jaate to achchhā thā

unheñ bhī kuchh ḳhabar hotī mire hāl-e-pareshāñ

hayā ke bojh se vo bhī bikhar jaate to achchhā thā

ye rangīñ mahfileñ ye raqs-e-paiham chāñd tāroñ

yahāñ se lauT kar ham apne ghar jaate to achchhā thā

na yuuñ āvārgān-e-ishq meñ ham naam likhvāte

mirī jaañ dil mirā le kar mukar jaate to achchhā thā

sabhī ilzām tum ne apne sar le kar ināyat

magar ilzām kuchh mere bhī sar jaate to achchhā thā

ye be-ehsās se bād-e-sabā ke be-sadā jhoñke

mire phūloñ pe kuchh 'shabnam' bhī dhar jaate to achchhā thā

hum apne aap se aage guzar jate to achchha tha

kisi se pyar karte aur mar jate to achchha tha

hawa KHushbu sameTe shahr ki jaanib chali aati

kabhi dasht-o-jabal ye kaam kar jate to achchha tha

unhen bhi kuchh KHabar hoti mere haal-e-pareshan ki

haya ke bojh se wo bhi bikhar jate to achchha tha

ye rangin mahfilen ye raqs-e-paiham chand taron ka

yahan se lauT kar hum apne ghar jate to achchha tha

na yun aawargan-e-ishq mein hum nam likhwate

meri jaan dil mera le kar mukar jate to achchha tha

sabhi ilzam tum ne apne sar le kar inayat ki

magar ilzam kuchh mere bhi sar jate to achchha tha

ye be-ehsas se baad-e-saba ke be-sada jhonke

mere phulon pe kuchh 'shabnam' bhi dhar jate to achchha tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now