hum apne-ap se karte rahe bayan tanha
ham apne-āp se karte rahe bayāñ tanhā
tumhārī bazm meñ baiThe kahāñ kahāñ tanhā
taġhayyurāt ke aaseb meñ vajūd mirā
ujaaḌ ban meñ ho jaise koī makāñ tanhā
ye soz-o-sāz kā paikar ye haDDiyoñ kā nagar
jo aag paa.e to chaTḳhe uThe dhuāñ
kahīñ kisī kī siyāsat na rañg laa.ī ho
bhare chaman meñ hai kyuuñ aaj bāġhbāñ tanhā
ye bār-e-ishq jise āsmāñ uThā na sakā
uThā.e phirtā rahā huuñ maiñ nā-tavāñ tanhā
tumhāre aane kī aahaT to kab se suntā huuñ
chale bhī aao mire paas mehrbāñ tanhā
hamīñ harīf rahe aur hamīñ halīf hue
hamāre ba.ad huā mīr-e-kārvāñ tanhā
vahī to dushman-e-jāñ hai usī se kaise bacheñ
vo ek shaḳhs jo aayā thā kal yahāñ tanhā
yahī zamīn tamaddun kī rāzdār rahī
yahī zamīn ugaltī rahī dhuāñ tanhā
hum apne-ap se karte rahe bayan tanha
tumhaari bazm mein baiThe kahan kahan tanha
taghayyuraat ke aaseb mein wajud mera
ujaD ban mein ho jaise koi makan tanha
ye soz-o-saz ka paikar ye haDDiyon ka nagar
jo aag pae to chaTKHe uThe dhuan
kahin kisi ki siyasat na rang lai ho
bhare chaman mein hai kyun aaj baghban tanha
ye bar-e-ishq jise aasman uTha na saka
uThae phirta raha hun main na-tawan tanha
tumhaare aane ki aahaT to kab se sunta hun
chale bhi aao mere pas mehrban tanha
hamin harif rahe aur hamin halif hue
hamare baad hua mir-e-karwan tanha
wahi to dushman-e-jaan hai usi se kaise bachen
wo ek shaKHs jo aaya tha kal yahan tanha
yahi zamin tamaddun ki raazdar rahi
yahi zamin ugalti rahi dhuan tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.