hum apne charaghon ki hifazat nahin karte
ham apne charāġhoñ kī hifāzat nahīñ karte
yā'nī ki ujāloñ kī himāyat nahīñ karte
karte haiñ vahī kaam jo karnā hī nahīñ hai
karnā hai jise karne kī himmat nahīñ karte
ghar-bār meñ barkat kī 'alāmat haiñ ye bahneñ
bahnoñ meñ hī taqsīm virāsat nahīñ karte
is 'ahd ke bachchoñ meñ hai tahzīb kā fuqdān
mahfil meñ buzurgoñ kī ri'āyat nahīñ karte
is daur-e-taraqqī kā asar dekhiye ham log
masjid to banāte haiñ 'ibādat nahīñ karte
hum apne charaghon ki hifazat nahin karte
ya'ni ki ujalon ki himayat nahin karte
karte hain wahi kaam jo karna hi nahin hai
karna hai jise karne ki himmat nahin karte
ghar-bar mein barkat ki 'alamat hain ye bahnen
bahnon mein hi taqsim wirasat nahin karte
is 'ahd ke bachchon mein hai tahzib ka fuqdan
mahfil mein buzurgon ki ri'ayat nahin karte
is daur-e-taraqqi ka asar dekhiye hum log
masjid to banate hain 'ibaadat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.