hum apne gham ki kabhi KHud se guftugu karte
ham apne ġham kī kabhī ḳhud se guftugū karte
tamām 'umr hī guzrī ye aarzū karte
jigar ko ḳhuun to dil ko lahū lahū karte
kisī tarah to mohabbat ko surḳh-rū karte
zabān zabt-e-musalsal se band hai varna
vo dostoñ ne kiyā hai na jo 'adū karte
na muskurātīñ kabhī bhī ye sub.h kī kirneñ
shab-e-firāq jo gul sham'-e-ārzū karte
tirī talāsh ne fursat na dī hameñ ai dost
ki ham zarā kabhī apnī bhī justujū karte
hum apne gham ki kabhi KHud se guftugu karte
tamam 'umr hi guzri ye aarzu karte
jigar ko KHun to dil ko lahu lahu karte
kisi tarah to mohabbat ko surKH-ru karte
zaban zabt-e-musalsal se band hai warna
wo doston ne kiya hai na jo 'adu karte
na muskuraatin kabhi bhi ye subh ki kirnen
shab-e-firaq jo gul sham'-e-arzu karte
teri talash ne fursat na di hamein ai dost
ki hum zara kabhi apni bhi justuju karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.