hum apne hijr mein apne visal mein gum hain
ham apne hijr meñ apne visāl meñ gum haiñ
vo sochtā hai ki us ke ḳhayāl meñ gum haiñ
har ek lamha-e-lazzat hisāb māñgtā hai
so ham bhī sab kī tarah ik savāl meñ gum haiñ
shafaq kī aañkh kise ro rahī hai muddat se
dyār-o-dasht sabhī kis malāl meñ gum haiñ
rutoñ ke dā.ere kyuuñ aaj tak salāmat haiñ
tamām silsile kyuuñ māh-o-sāl meñ gum haiñ
ye chāñd jhiil ke paanī se ham-kalām hai kyuuñ
kināre kis liye ranj-o-malāl meñ gum haiñ
hum apne hijr mein apne visal mein gum hain
wo sochta hai ki us ke KHayal mein gum hain
har ek lamha-e-lazzat hisab mangta hai
so hum bhi sab ki tarah ek sawal mein gum hain
shafaq ki aankh kise ro rahi hai muddat se
dyar-o-dasht sabhi kis malal mein gum hain
ruton ke daere kyun aaj tak salamat hain
tamam silsile kyun mah-o-sal mein gum hain
ye chand jhil ke pani se ham-kalam hai kyun
kinare kis liye ranj-o-malal mein gum hain
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 274)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.