hum apne ishq ki babat kuchh ehtimal mein hain
ham apne ishq kī bābat kuchh ehtimāl meñ haiñ
ki terī ḳhūbiyāñ ik aur ḳhush-ḳhisāl meñ haiñ
tamīz-e-hijr-o-visāl is maqām par bhī hai
hisāb-e-rāh-e-mohabbat meñ garche haal meñ haiñ
koī bhī paas nahīñ to tirā ḳhayāl na ġham
ba-qaul-e-pīr-e-jahāñ-dīda ham visāl meñ haiñ
bahut zarūrī nahīñ hai ki tū sabab Thahre
ye baat apnī jagah ham kisī malāl meñ haiñ
guzishta saal rahā jin pe tañg arsa-e-vaqt
vo saare ḳhvāb ba-ta.abīr ab ke saal meñ haiñ
hum apne ishq ki babat kuchh ehtimal mein hain
ki teri KHubiyan ek aur KHush-KHisal mein hain
tamiz-e-hijr-o-visal is maqam par bhi hai
hisab-e-rah-e-mohabbat mein garche haal mein hain
koi bhi pas nahin to tera KHayal na gham
ba-qaul-e-pir-e-jahan-dida hum visal mein hain
bahut zaruri nahin hai ki tu sabab Thahre
ye baat apni jagah hum kisi malal mein hain
guzishta sal raha jin pe tang arsa-e-waqt
wo sare KHwab ba-tabir ab ke sal mein hain
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 26)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.