Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apne jism-o-ruh ke andar hi le chalen

Shad Jeelani

hum apne jism-o-ruh ke andar hi le chalen

Shad Jeelani

MORE BYShad Jeelani

    ham apne jism-o-rūh ke andar le chaleñ

    chal talḳhī-e-hayāt tujhe ghar le chaleñ

    bāzār-e-be-adab meñ jo saste haiñ āj-kal

    tahzīb-e-ahd-e-nau ke vo zevar le chaleñ

    shahr-e-vafā koī alāmat zarūr ho

    gauhar nahīñ mile haiñ to patthar le chaleñ

    mausam koī Thiik nahīñ kab ho mehrbāñ

    sahrā samt koī samundar le chaleñ

    zaḳhmoñ indimāl to mumkin nahīñ magar

    dāman pe likh ke naam sitamgar le chaleñ

    kuchh to subūt chāhiye arbāb-e-shahr ko

    āñkhoñ meñ rakh ke gaañv manzar le chaleñ

    un ko yaqīñ to aa.e vafā kisī tarah

    un ke huzūr 'shād' mirā sar le chaleñ

    hum apne jism-o-ruh ke andar hi le chalen

    chal talKHi-e-hayat tujhe ghar hi le chalen

    bazar-e-be-adab mein jo saste hain aaj-kal

    tahzib-e-ahd-e-nau ke wo zewar hi le chalen

    shahr-e-wafa ki koi alamat zarur ho

    gauhar nahin mile hain to patthar hi le chalen

    mausam ka koi Thik nahin kab ho mehrban

    sahra ki samt koi samundar hi le chalen

    zaKHmon ka indimal to mumkin nahin magar

    daman pe likh ke nam sitamgar hi le chalen

    kuchh to subut chahiye arbab-e-shahr ko

    aankhon mein rakh ke ganw ka manzar hi le chalen

    un ko yaqin to aae wafa ka kisi tarah

    un ke huzur 'shad' mera sar hi le chalen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now