hum apne nam se hargiz kahin jaane nahin jate
ham apne naam se hargiz kahīñ jaane nahīñ jaate
tumhārā naam na lete to pahchāne nahīñ jaate
kabhī jo bhūle bhaTke se bhī maiḳhāne nahīñ jaate
ye na samjho ki un ke paas paimāne nahīñ jaate
kisī ke dil meñ kyā hai māthe pe likkhā nahīñ hotā
ki apne log bhī to ham se pahchāne nahīñ jaate
añdhere rahbarī karte haiñ parvānoñ kī sham.a tak
ki din meñ sham.a ke nazdīk parvāne nahīñ jaate
mire pā-e-talab mujh ko tumhāre dar pe le aa.e
kisī aur dar pe ab ham haath phailāne nahīñ jaate
unheñ chugne ko uḌ kar duur tak jaanā hī paḌtā hai
kisī bhī ghoñsle meñ ḳhud-ba-ḳhud daane nahīñ jaate
hamārī manzil-e-maqsūd to hai qabr se aage
vahāñ tak bhī hameñ ye log pahuñchāne nahīñ jaate
mire pur-soz naġhme tarjumānī haiñ mohabbat kī
ham un kī bazm meñ yuuñ hī ġhazal gaane nahīñ jaate
kabhī jab zaḳhm lagte haiñ to kāñTe chuTkī bharte haiñ
guloñ ke gul-numā ḳhanjar to pahchāne nahīñ jaate
hasīnoñ kī numā.ish meñ mohabbat to nahīñ dikhtī
ye pahchāne to jaate haiñ magar jaane nahīñ jaate
mohabbat ke pujārī apnī puujā aise karte haiñ
sanam-ḳhāne chale jaate haiñ but-ḳhāne nahīñ jaate
ka.ī rāz-e-mohabbat dil meñ poshīda hī rahte haiñ
ye gauhar jauharī se bhī to pahchāne nahīñ jaate
nichhāvar jaan karne ko ye 'sāhil' us pe jaate haiñ
ki jalne ke liye sham.a pe parvāne nahīñ jaate
hum apne nam se hargiz kahin jaane nahin jate
tumhaara nam na lete to pahchane nahin jate
kabhi jo bhule bhaTke se bhi maiKHane nahin jate
ye na samjho ki un ke pas paimane nahin jate
kisi ke dil mein kya hai mathe pe likkha nahin hota
ki apne log bhi to hum se pahchane nahin jate
andhere rahbari karte hain parwanon ki shama tak
ki din mein shama ke nazdik parwane nahin jate
mere pa-e-talab mujh ko tumhaare dar pe le aae
kisi aur dar pe ab hum hath phailane nahin jate
unhen chugne ko uD kar dur tak jaana hi paDta hai
kisi bhi ghonsle mein KHud-ba-KHud dane nahin jate
hamari manzil-e-maqsud to hai qabr se aage
wahan tak bhi hamein ye log pahunchane nahin jate
mere pur-soz naghme tarjumani hain mohabbat ki
hum un ki bazm mein yun hi ghazal gane nahin jate
kabhi jab zaKHm lagte hain to kanTe chuTki bharte hain
gulon ke gul-numa KHanjar to pahchane nahin jate
hasinon ki numaish mein mohabbat to nahin dikhti
ye pahchane to jate hain magar jaane nahin jate
mohabbat ke pujari apni puja aise karte hain
sanam-KHane chale jate hain but-KHane nahin jate
kai raaz-e-mohabbat dil mein poshida hi rahte hain
ye gauhar jauhari se bhi to pahchane nahin jate
nichhawar jaan karne ko ye 'sahil' us pe jate hain
ki jalne ke liye shama pe parwane nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.