hum apni kahani bhul gae hum apna fasana bhul gae
ham apnī kahānī bhuul ga.e ham apnā fasānā bhuul ga.e
aisā ye zamāna rañg laayā ham hañsnā-hañsānā bhuul ga.e
bulbul kā chahaknā yaad rahā phūloñ kā mahaknā yaad rahā
apnī hī haqīqat yaad nahīñ apnā hī tarānā bhuul ga.e
mai-ḳhāne kī rāteñ yaad aa.iiñ but-ḳhāne kī bāteñ yaad aa.iiñ
pahuñche jo haram kī chaukhaT par sar apnā jhukānā bhuul ga.e
ye zulm-o-sitam ke matvāle insāf kā da.avā karte haiñ
deñ kis ko sazā hai kis kī ḳhatā ye ahl-e-zamāna bhuul ga.e
āġhāz-e-jafā kī talḳhī se ghabrānā bhī ik nādānī hai
un par bhī koī vaqt aa.egā vo apnā zamāna bhuul ga.e
saaqī hai judā maiḳhāne se sāġhar hai judā paimāne se
hastī ke talātum meñ phañs kar sab pīnā-pilānā bhuul ga.e
ulfat kī qasam is duniyā meñ ab koī kisī kā bhī na rahā
begānoñ kā shikva kyā kiije apne apnānā bhuul ga.e
hai sham.a ḳhafā parvāne se sāġhar hai ḳhajil paimāne se
uThtā hai dhuāñ maiḳhāne se sab pīnā-pilānā bhuul ga.e
ik sāz-e-shikasta le ke 'nasīm' us gulshan meñ kyā jaa.eñ ki ham
bulbul ko rulānā bhuul ga.e phūloñ ko hañsānā bhuul ga.e
hum apni kahani bhul gae hum apna fasana bhul gae
aisa ye zamana rang laya hum hansna-hansana bhul gae
bulbul ka chahakna yaad raha phulon ka mahakna yaad raha
apni hi haqiqat yaad nahin apna hi tarana bhul gae
mai-KHane ki raaten yaad aain but-KHane ki baaten yaad aain
pahunche jo haram ki chaukhaT par sar apna jhukana bhul gae
ye zulm-o-sitam ke matwale insaf ka dawa karte hain
den kis ko saza hai kis ki KHata ye ahl-e-zamana bhul gae
aaghaz-e-jafa ki talKHi se ghabrana bhi ek nadani hai
un par bhi koi waqt aaega wo apna zamana bhul gae
saqi hai juda maiKHane se saghar hai juda paimane se
hasti ke talatum mein phans kar sab pina-pilana bhul gae
ulfat ki qasam is duniya mein ab koi kisi ka bhi na raha
beganon ka shikwa kya kije apne apnana bhul gae
hai shama KHafa parwane se saghar hai KHajil paimane se
uThta hai dhuan maiKHane se sab pina-pilana bhul gae
ek saz-e-shikasta le ke 'nasim' us gulshan mein kya jaen ki hum
bulbul ko rulana bhul gae phulon ko hansana bhul gae
- Book : Harf-e-dil (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.