hum apni manzilon ka aap hi naqsha banate hain
ham apnī manziloñ kā aap hī naqsha banāte haiñ
chaTāneñ kaaT kar apne liye rasta banāte haiñ
riyā-kārī hamāre sāmne kyā sar uThā.egī
jo sach ko sach batā.e ham vo ā.īna banāte haiñ
alag naqsha banātā hai udhar ik āsmāñ vaalā
zamīñ vaale zamīñ par jab koī naqsha banāte haiñ
na ho dīvār kī bandish na sarhad kī lakīreñ hoñ
ham apnī kāvishoñ se aisī hī duniyā banāte haiñ
rukāvaT ko rukāvaT kab samajhte haiñ ham ahl-e-dil
hamāre vāste hālāt ḳhud rasta banāte haiñ
usī ik baat par nālāñ haiñ ham se log bastī ke
jinheñ kahte haiñ ham apnā unheñ apnā banāte haiñ
ham aise peḌ haiñ 'najmī' jhulaste reg-zāroñ meñ
jo taptī dhuup sah kar bhī ghanā saaya banāte haiñ
hum apni manzilon ka aap hi naqsha banate hain
chaTanen kaT kar apne liye rasta banate hain
riya-kari hamare samne kya sar uThaegi
jo sach ko sach batae hum wo aaina banate hain
alag naqsha banata hai udhar ek aasman wala
zamin wale zamin par jab koi naqsha banate hain
na ho diwar ki bandish na sarhad ki lakiren hon
hum apni kawishon se aisi hi duniya banate hain
rukawaT ko rukawaT kab samajhte hain hum ahl-e-dil
hamare waste haalat KHud rasta banate hain
usi ek baat par nalan hain hum se log basti ke
jinhen kahte hain hum apna unhen apna banate hain
hum aise peD hain 'najmi' jhulaste reg-zaron mein
jo tapti dhup sah kar bhi ghana saya banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.