hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte
ham apnī mohabbat kā tamāshā nahīñ karte
karte haiñ agar kuchh to dikhāvā nahīñ karte
ye sach hai ki duniyā kī ravish Thiik nahīñ hai
kuchh ham bhī to duniyā ko gavārā nahīñ karte
ik baar to mehmān baneñ ghar pe hamāre
ye un se guzārish hai taqāzā nahīñ karte
duniyā ke jhamele hī kuchh aise haiñ ki un ko
ham bhuul to jaate haiñ bhulāyā nahīñ karte
fardā pe haiñ nazreñ to kabhī haal pe nazreñ
maazī ko magar muḌ ke bhī dekhā nahīñ karte
jin meñ ki buzurgoñ kī koī qadr nahīñ ho
ham aise gharoñ meñ kabhī rishta nahīñ karte
bārish ho ki tūfān ho yā aag kā jañgal
ham ghar se nikal jaa.eñ to sochā nahīñ karte
jo ḳhvāb nazar aatā hai sarsabz zamīñ kā
us ḳhvāb kī ta.abīr batāyā nahīñ karte
bāzār meñ bikte nahīñ vo log umūman
rishtoñ kā jo apne kabhī saudā nahīñ karte
hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte
karte hain agar kuchh to dikhawa nahin karte
ye sach hai ki duniya ki rawish Thik nahin hai
kuchh hum bhi to duniya ko gawara nahin karte
ek bar to mehman banen ghar pe hamare
ye un se guzarish hai taqaza nahin karte
duniya ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko
hum bhul to jate hain bhulaya nahin karte
farda pe hain nazren to kabhi haal pe nazren
mazi ko magar muD ke bhi dekha nahin karte
jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho
hum aise gharon mein kabhi rishta nahin karte
barish ho ki tufan ho ya aag ka jangal
hum ghar se nikal jaen to socha nahin karte
jo KHwab nazar aata hai sarsabz zamin ka
us KHwab ki tabir bataya nahin karte
bazar mein bikte nahin wo log umuman
rishton ka jo apne kabhi sauda nahin karte
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 56)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.