hum apni sari KHwahish har tamanna chhoD dete hain
ham apnī saarī ḳhvāhish har tamannā chhoḌ dete haiñ
tumheñ paane ko ham har roz kyā kyā chhoḌ dete haiñ
maiñ jab bhī syaah rātoñ meñ tumhārā naam letā huuñ
tumhārī yaad ke jugnū ujālā chhoḌ dete haiñ
ye tanhā.ī hameñ ik roz tanhā kar ke mānegī
chalo tanhā.iyoñ ko ham hī tanhā chhoḌ dete haiñ
hameñ apnī zamīñ kā hī gharauñdā Thiik lagtā hai
tabhī to ham sitāroñ kā Thikāna chhoḌ dete haiñ
kahīñ rishtoñ ke kamre meñ vo ḳhud ko qaid na samjheñ
so ham bāhar nikalne kā bhī rasta chhoḌ dete haiñ
mohabbat meñ kiyā har ek va.ada yuuñ nibhāte haiñ
ki ham vaade kī ḳhātir saarī duniyā chhoḌ dete haiñ
ziyāda raushnī meñ bhī dikhā.ī kuchh nahīñ detā
tumhārī aañkh khul jaa.e añdherā chhoḌ dete haiñ
ye daulat ġhair kī hai saath to jā hī na pā.egī
to phir kis kaam kā hai ye ḳhazāna chhoḌ dete haiñ
zarūrī to nahīñ hai 'shād' har qissa mukammal ho
to apnī is ġhazal ko bhī adhūrā chhoḌ dete hai
hum apni sari KHwahish har tamanna chhoD dete hain
tumhein pane ko hum har roz kya kya chhoD dete hain
main jab bhi syah raaton mein tumhaara nam leta hun
tumhaari yaad ke jugnu ujala chhoD dete hain
ye tanhai hamein ek roz tanha kar ke manegi
chalo tanhaiyon ko hum hi tanha chhoD dete hain
hamein apni zamin ka hi gharaunda Thik lagta hai
tabhi to hum sitaron ka Thikana chhoD dete hain
kahin rishton ke kamre mein wo KHud ko qaid na samjhen
so hum bahar nikalne ka bhi rasta chhoD dete hain
mohabbat mein kiya har ek wada yun nibhate hain
ki hum wade ki KHatir sari duniya chhoD dete hain
ziyaada raushni mein bhi dikhai kuchh nahin deta
tumhaari aankh khul jae andhera chhoD dete hain
ye daulat ghair ki hai sath to ja hi na paegi
to phir kis kaam ka hai ye KHazana chhoD dete hain
zaruri to nahin hai 'shad' har qissa mukammal ho
to apni is ghazal ko bhi adhura chhoD dete hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.