hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad
ham aur un ke lutf-o-karam muddatoñ ke baad
zulmat huī hai nuur meñ zam muddatoñ ke baad
ab phir mashām-e-jāñ meñ sabā kā ḳhirām hai
kis ne kiyā hai jism pe dam muddatoñ ke baad
nikle haiñ kis kī āh-e-sahar-tāb ke tufail
zulf-e-shab-e-darāz ke ḳham muddatoñ ke baad
lauTā hai le ke zehn meñ āshob-e-zindagī
dil kā ġhazāl sū-e-haram muddatoñ ke baad
do-chār din kī baat nahīñ ai hujūm-e-shauq
miltā hai husn-e-jāh-o-hasham muddatoñ ke baad
yaḳh-basta fikr yaad kī āñchoñ se garm hai
bhaḌkā hai dil meñ sho.ala-e-ġham muddatoñ ke baad
'sibtain' shahr-e-ilm-o-adab ke nasīb meñ
hote haiñ ham se ahl-e-qalam muddatoñ ke baad
hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad
zulmat hui hai nur mein zam muddaton ke baad
ab phir masham-e-jaan mein saba ka KHiram hai
kis ne kiya hai jism pe dam muddaton ke baad
nikle hain kis ki aah-e-sahar-tab ke tufail
zulf-e-shab-e-daraaz ke KHam muddaton ke baad
lauTa hai le ke zehn mein aashob-e-zindagi
dil ka ghazal su-e-haram muddaton ke baad
do-chaar din ki baat nahin ai hujum-e-shauq
milta hai husn-e-jah-o-hasham muddaton ke baad
yaKH-basta fikr yaad ki aanchon se garm hai
bhaDka hai dil mein shoala-e-gham muddaton ke baad
'sibtain' shahr-e-ilm-o-adab ke nasib mein
hote hain hum se ahl-e-qalam muddaton ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.